Urdustan > Mushaira > 2002 > January
 Sadaf Kainaat
seeap@hotmail.com

Yeh duniya hai ik station,
Aana jaana laga rahey ga,
Kisi ki aamad bhalee lagay gi,
Kisi ka jana bura lagay ga,
Kahan rukay ga kaam jahan ka,
Yeh mela to saja rahey ga,
Yeh duniya hai ik station,
Aana jaana laga rahey ga........

Kahan chalay, ik pal to tehhro,
Baat suno, yun munh mat phero,
Hans kay do baaten to kar lo,
Warna yeh dukh laga rahay ga,
Koee hum say khafa gya hai,
Koee hum say khafa rahey ga,
Yeh duniya hai ik station,
Aana jaana laga rahey ga.....,.

Barson ki yeh baat puraani,
Waqt daryaa ka behta paani,
Kab ruka hai kab rukay ga,
Yeh darya behta hi rahey ga,
Hum nay, yeh Kainaat hai mana!
Kon kahan kab sada raha hay,
Kon yahan kab sada rahey ga,
Yeh duniya hai ik station,
Aana jaana laga rahey ga......

Anant Kaur

Hardev Ashk

Meenakshi Madhur

Muhammad Arif

Sadaf Kainaat

Shefali Malhotra

Swaleh Atcha

Urooj Khushi

Yasmeen Yaas


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
e-mail : webustaad@urdustan.com
privacy