Urdustan.com
 Urdustan > Mushaira> 2001 > June

 Tanveer Iqbal
Houston, TX USA

fiza meN uth'ta ye gard-o-gubaar kaisa hai?
meri aankhoN meN ye ashkoN ka baar kaisa hai?

har aik aahat pe dil dhadak sa jaata hai
yaadoN ki dastakoN ka yeh shumaar kaisa hai?

khoye duNdhle se chehrey paatey jaatey heN wazah
meri nazroN meN rukh-e-gul-o-khaar kaisa hai?

bhula chuka tha dafan kar ke sabhi aarzueN
hasratoN ka yeh achanak ubhaar kaisa hai?

khushi si hoti he dukh ko galey laganey se
abb merey ghamm bhi kaheN, yeh shikaar kaisa hai?

ho gaya toot kar lahu lahu paimaanay-e-dil
merey jazbaat ka yeh sangsaar kaisa hai?

jisse chaha tha apni jaan se barh kar meiney
ussi ke khanjar ka dil pe waar kaisa hai?

zindagi ek safar he weeraan, la mehdood
phir kissi manzil ka intizaar kaisa hai?

he aasuoN ki aseeri hi abb tou chutkara
phir, dil meN ehsaas-e-faraar kaisa hai?

dhadkanoN par hoti jaati he be-basi haavi
abb takk saansoN pe mera ikhtiyaar kaisa hai?

       Abubakar Aarif
Ahmad S. Munawar
Anant Kaur
Farrukh Abbas
Hardev Sodhi Ashk
Irfan Abid
Kausar Saiyed
Khatib Hamidi
Meenakshi Jha
Md. Moinuddin
Pritpal Singh
Sonal Jani
Swaleh Atcha
Tanveer Iqbal
Yasir Farooq
Zafar Hamidi
Zawar Shah


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
webustaad

Click Here!