Urdustan.com
 Urdustan > Mushaira> 2001 > June

Sonal Jani "Masoom"
New Jersey, USA

Tanhaai Ke Is Aaalam Mein, Udti Hai Gard Khayalon Ki
Yun To Jawaab Hazaaron Hai, Lagi Hai Zadi Sawaalon Ki

Usney Mujey Bhulaa Diyaa, Unchaahi Mannat Maan Ke
Gunjati Rahi Kuch Aawazey, Un Tootey Hue Pyaalon Ki

Dekha Hai Jawaani Bikti Hai, Husn Ke Bazaaron Mein
Masal Detey Hai Kaliyon Ko, Kami Nahin Dalaalon Ki

Nahin Miltey Hai Dost Yahaan, Jo Jeevanbhar Ke Saathi Ho
Yu To Duniyaa Ke Mele Mein, Kami Kahaan Dilwaalon Ki

Rishton Ke Bandhan Kacchey Hai, Zatkey Se Toot Jaatey Hai
Maasoom Ke Zakhm Ristey Hai, Sunti Hai Aah Rakhwaalon Ki 

       Abubakar Aarif
Ahmad S. Munawar
Anant Kaur
Farrukh Abbas
Hardev Sodhi Ashk
Irfan Abid
Kausar Saiyed
Khatib Hamidi
Meenakshi Jha
Md. Moinuddin
Pritpal Singh
Sonal Jani
Swaleh Atcha
Tanveer Iqbal
Yasir Farooq
Zafar Hamidi
Zawar Shah


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
webustaad

Click Here!