Urdustan.com
 Urdustan > Mushaira> 2001 > June

 Mohammed Moinuddin
Chennai,india

sochoN pe jami gard ko lafzoN meiN chHupa kar
    kartey haiN pesh ghazal ke ash'aar bana kar.

hai dil pe siyeh kari ki gard teh be teh jami
    aur tan hai rakHa ujley libadey meiN chHupa kar.

 KhaNda be lab haiN jo bHi wohi log dosto
     miltey haiN galey,baG'l meiN KhaNjer ko chHupa  kar.

  aalooda aur ho gaya miTTi ka yeh badan
      gard-e- guneh se dil ko daGhdar bana kar.

   woh log jo haiN mazhabi yerqaan ka shikar
      pHirtey haiN ta'assub ka siyeh chashma laga kar.

   pHirta hai dar be dar shakeel-e-sooKhta samaaN
      dil meiN kisi ke pyaar ki chingaari chHupa kar.

       Abubakar Aarif
Ahmad S. Munawar
Anant Kaur
Farrukh Abbas
Hardev Sodhi Ashk
Irfan Abid
Kausar Saiyed
Khatib Hamidi
Meenakshi Jha
Md. Moinuddin
Pritpal Singh
Sonal Jani
Swaleh Atcha
Tanveer Iqbal
Yasir Farooq
Zafar Hamidi
Zawar Shah


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
webustaad

Click Here!