Urdustan.com
 Urdustan > Mushaira> 2001 > June

Kausar Saiyed
Tracy, California

uss ne seenay meN utaray sabhi khanjar jo the
  sabhi naakaam rahe pyar ke mantar jo the

  GARD aisi thi jami dil ke nihaan khanoN meN
  sabhi dhundhlaate gaye aankh ke manzar jo the

  teri aamad se hai har samt yeh kaisa jaadoo
  pal mein roo posh hue sab maah-o-akhtar jo the

  teri chaahat ka sila khoob mila hai hum ko
  sabhi ilzaam lage aate hein, hum par, jo the

  ab ke toofaanon ki zad mein jo guzar hai apna
  sabhi muNh morday chale jaate hein humsar jo the

  ab to maayal se nazar aate hein woh bhi KAUSAR
  teri chaahat ne miTaaye sabhhi antar jo the

       Abubakar Aarif
Ahmad S. Munawar
Anant Kaur
Farrukh Abbas
Hardev Sodhi Ashk
Irfan Abid
Kausar Saiyed
Khatib Hamidi
Meenakshi Jha
Md. Moinuddin
Pritpal Singh
Sonal Jani
Swaleh Atcha
Tanveer Iqbal
Yasir Farooq
Zafar Hamidi
Zawar Shah


||  urdustan ||
adeeb | anam | e-mailmushaira | u-hoo | about us
messageboard | mazameen | nuqta | awaaz | tanz-o-mazaah | whats new?
webustaad

Click Here!